Osman Khan - Shab Dhalay (Lyrics/Audio)

October 09, 2014 Ambreen 0 Comments


Osman Khan - Shab Dhalay
Shab Dhalay LYRICS:
  • Mjhe tum main aur khud main kch baatain ek se lgti hain.
  • In lafzoun main kch mery aur tumhari, baatain dil ki apni see lagti hain!
  • Jaise tanha shamoun main tum roye hogay.
  • Jaise sard raatoun main tum na soye hogay.
  • Jaisay baarish main tmhen bhe chain na aya hoga.
  • Jaisay shab dhalay tumhen bhe khayal atay hongay.
  • Kay kaash hum tum miljatay tau shayad zindagi achi hoty.
  • Har khuwaish k peche jaise tumhary he marzi hoty.
  • Kay jaisay bahaar ka mausam youn akele na aata.
  • Kay jaisay path jarh youn chup chaap na jaata.
  • Mera jeevan samundar ki un lehroun ki maanind hay
  • Jo saahil co ek lamhay main chu k wapis ho jaen
  • Mera dil us saraye ki khamoshi ki maanind hay
  • Sadiyon say jahan koi na thehra ho.
  • Jaisay waqt k gehray baadal har ksi ki kahani hain
  • Aese gham k barhtay saaye meri zindagani hain
  • Ye Duriyan aur ye faaslay hain kch mera kch tmhara hissa
  • In lafzoun main dhundta houn hamara kissa
  • Mjhe tum main aur khud main kch baatain ek se lagti hain
  • In baatoun main tumhari, baatain dil ki apni see lagty hain!!!
Shab Dhalay Music Audio:
  • Song: Shab Dhalay
  • Produced & Composed by: Osman Khan
  • Written by: Osman Khan
  • Mix and Master by: Abdullah Malik
  • Album: Chaos Theory
  • Facebook - facebook.com/osmankhanmusic
  • Song Submitted by: Osman Khan